Hello Dosto, Kya Apko blog ke liye SEO Friendly Article likhte hai aur uska traffic badhana hai? Agar haan, To Hm Apko Is Article Me SEO Friendly Article Likhna Sikhayenge Aur Article ko Search Engine friendly banana Btayege. Is Post mein hum aapko kuch tips denge jisse aap apne article ko SEO-friendly bana Payenge.
Article Kaise Likhe In Hindi
SEO Friendly Article Likhne Ke Liye Apko Niche Diye Gaye Points Ko Samjh Kar Follow Karna Hai Fir Apka Article 100% Google Me First Page Par Rank Karega:
1. Keyword Research
Sabse pehle aapko ek topic sochna hai jisper aap article likhna chahte hai. jaise manlete hai aapka tittle hai "free blog kaise banaye" to yhi aapko google me search karna hai. yeh bhi ek keyword hi hai jo logo ke dwara search kiya ja rha hai. jaise hi aap google me apna Keyword search karenge.
Aapke samne kuch results aayege aur agar aap niche scroll karenge to apko bich me "people also ask" bhi dikhayi dega aur page ke end me "related searches" dikhayi dengi. yeh sabhi keywords hote hai. jiska istmal aap apne article me kar sakte hai. apko yeh keywords ko apne post me aise arrange karna hai ki yeh na lage ki apne keyword stuffing kiya hai. kyuki ise google support nahi karta hai.
agar aap proper keyword research kar ke article likhte hai to aap apni target audience tak pahunch sakte hai. keywords research ke liye aap Google Keyword Planner, Ahrefs tools ka istmal kar sakte hai.
2. Title Tag Optimization
Title tag ka SEO karna bahut hi jaroori hai yeh search engine me dikhayi deta hai aur isko dekh kar hi users aapke website par aate hai. tittle tag aapko hamesha attractive aur article k relevant hi banana chahiye. title tag mein aap apne targeted keyword ka istmal kare. aur tittle tag me 60 characters hi rakhe. Atractive title tag aapke article ko rank kar sakta hai aur apke post per aadhik clicks bhi dila sakta hai. jisse aapki website ka click-through rate (CTR) bhi improve hoga.
3. Meta Description Optimization
Meta description ek trh se short information hoti hai. apke article se related. jo ham post likhte waqt description me likhte hai. log aksar meta description ko optimize nahi karte hai jis vajhse post rank nahi ho pati hai. apko meta description ka bhi SEO karna chahiye. jaise ki aapko meta description me aapna target keyword add karna chahiye. aur isme 155 characters ka hi istmal karna chahiye. isse bhi apki website ka CTR improve hota hai aur traffic badhne me madad milti hai.
4. Content Optimization
Dosto aapne suna hi hoga "content is king" jo ki 100% true hai. aapko apne content par sabse jayda dihan dena hai. content unique, original hi likhna hai kahin se copy-paste nahi karna hai. aur content ka SEO bhi karna hai jaise ki aapko article ke first paragraph me apna target keyword ko add karna hai, sabhi heading me add karna hai, post me table of content, bullet points ya numering ka use karna hai. isse aapka content well organise dikhta hai aur users ko bhi pasand aata hai. aur apko copyright free images ka bhi use karna chaiye aur article ke end me "FAQ" add karna chahiye jisse google apke post ko asani se samjh pata hai aur apke post ke rank hone ke chance badh jate hai.
5. Internal and External Linking
Internal linking aur external linking SEO ka part hai iske bina to aapki website rank nahi ho sakti hai. internal linkin ka matlab ham apni hi website ki kisi post ka link apne kisi aur post me add kare to use internal linking khete hai. isko karne se aapki post jaldi index hoti hai aur apki post rank bhi hoti hai.
Dusri taraf external linking ka matlab hai agar aap kisi or website ka link apni post me add karte hai to use external link khete hai. jaise manlijiye aapne koi post likha hai "google kya hai" aur is post me jhan kahi bhi google word aata hai usme se kisi bhi ek google word par agar aap google ka hi link add kardete hai to yeh external link khelata hai. isko aap apni post me jaroor kare.
6. Mobile Optimization
Artcile ko hamesha desktop aur mobile dono ke hisab se optimization kerna chahiye. verna ye apki website ki SEO kharab kar sakta hai. agar apki site per koi mobile se visit karta hai aur apka post option nahi hota hai use acche se content display nahi hota hai to vo apki site se exit kardega jisse apki website ka bounce rate kharab hota hai. aur post ki ranking bhi down hoti hai. isliye hamhesha content ko well optimize kare mobile-friendly banaye. aur responsive text/theme ka hi istamal kare.
7. Page Speed
website k Page speed apki post rank karne me sabse jayda role play karti hai. yahi apki website open hone me jayda time leti hai to isse user experience kharab hota hai aur vo fir apki site par nahi aate hai aur apki website ranking se bhar hojati hai. isliye apni website ki speed ko hamesha maintain rakho aur time to time google search console me check karte rhe. aur apni website per kam se kam elements ka istmal kare jisse apki website par load nahi padhega. aur website ke page speed bhi maintain rhegi.
8. Social Sharing
website ki online visibility badhane ke liye Social media sharing links add karna bahut hi jarori hai. apko apni website par social sharing buttons ko add karna chahiye isse aapke website par jayda se jayda traffic aane ke chance badh jate hai.
9. User Intent
Apko article user friendly ke sath-sath unke intent ko bhi focus karna chahiye.Apko hamesha apne target audience ki demand ke according hi post likhni chahiye. mera matlab hai user ne jo quary puchi hai uske hisab se hi apka article hona chahiye yeh nahi hona chahiye ki usne pucha kuch aur hai aur aap bta kuch aur rhe hai. apko apne user ko High-quality informative deni chahiye taki vo bar bar apke site par aaye aur google ki najar me bhiapki website ki authority built ho. aur isse apki post rank hone me bhi madad milegi.
10. Analytics
Analytics google ka hi ek product hai jiska use karke aap dekh sakte hai apki website per jayda khan se traffic aarha hai. khan se jayda clicks aarhe hai. Google Analytics se aap apne website per aane wale traffic ko track kar skate hai. jisse aap user ka behaviour samjh ke apni website ko customise kar sakte hai taki apki post google ke top results me rank ho paye.
11. Readability
aap hamesha readable article hi likhe. jo user ko understand karne me easy rhe aur unke question ka unhe appropriate answer mil paye. post me keyword stuffing na kare. aur font ka text, size, colour simple rakhe jisse reader ko padhne me takleef na ho. aur article ko chote chote paragraph me likhe, bullet points ka use kare.
12. Quality Content
Apne user ko hamesha Quality content hi de. aur khin se copy-paste na kare. aur apne user ko kabhi bhi mislead na kare. apne user ke queries ko najar me rakhte huye hi article likhe. agar aap Quality content likhte hai to aap apne user ka trust jeet sakte hai. fir vo user apki website par bar-bar aayega aur traffic bhi badhega.
Conclusion:
SEO Friendly Article Likhne Ke Liye Upar Btaye Points Ko Follow Kare. Aur Article Ko Hamesha User Friendly Ke Sath Search Engine Ke Hisab Se Likhe. Aur Shi Keywords Ka istmaal Kare Taki Apka Post Google Me Rank Ho.
Dihan Rakhe Article Kabhi Bhi Kisi Site Se Copy-Paste Na Kare Aur Na Hi Kisi Tool Se Genrate Kare Aise Article Low Value Content Hota Hai Jo Rank bhi Nahi Hota Aur Aise Content Par Google Adsense Approval Bhi Nahi Milta Hai. Isliye Unique Aur Quality Content HI Likhe.
Taki Aap Targeted Audience Tak Pahunch Paye Aur Acha Kma Paye. Agar aapko Is article se Sambhandit Kuch Puchna Hai To Niche Comment Box Me puche Aur Article Accha Lga Hai To Apne Dosto Ke Sath Share Kare.
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.